With the arrival of spring that brings fresh green leaves and multitude of flowers that are blooming everywhere... following lines of Faiz's gazal become fresh in my memory too. It was beautifully sung by Ustad Mehdi Hassan.
***
Gulon main rang bharay, baad-e-naubahaar chalay
Chalay bhi aao keh gulshan ka karobaar chalay
Qaffas udaas hai yaro, saba say kuch to kaho
Kaheen to behr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chalay
Kabhi to subh teray kunj-e-lab say ho aaghaaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul say mushkbaar chalay

BaRaa hai dard ka rishta, yeh dil ghareeb sahee
Tumhaaray naam pay aaen gay Ghamgusaar chalay
Hooa jo teer-e-nazar neemkash to kya hasil
Maza to jab hai keh seenay kay aar paar chalay
(above sher is not in the original gazal by Faiz but it is in the classic gazal sung by Mehdi Hassan)
Jo hum pay guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Humaray ashk teri aaqibat sanwaar chalay
Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ka talab
Giraah main lay kay garaybaan ka taar taar chalay
Maqaam 'Faiz' koi raah main jacha hee nahin
Jo koo-e-yaar say niklay to soo-e-daar chalay